EXAM PATTERNCBSE 10th Exam me mainly jo subjects hote hain wo hain – Science, Mathematics, Social Science, English Commutative, English Language and Literature, Aur Hindi.
Iske alawa aap Computer Science ya fir languages me se ek elective subject choose kar sakte hai
CBSE Exam ke naye pattern ke hisab se ab har subjects me 25% marks internal assesment ke honge iska matlab ab se CBSE sirf 80 marks ke paper conduct karega.
Isi ke saath hi ek aur achhi khabar ye hai ki CBSE ne 25% multiple choice questions ko exam paper me shamil kiya hai.
Saath hi saath CBSE ne is saal 33% internal choice questions add kiye hai, jiska matlab hai students ke paas questions choose karne ke kaafi options honge.
To watch our youtube video:
https://www.youtube.com/watch?v=YMqzspnXDPs