Close sidebar

GIVE ME FULL INFORMATION ABOUT CBSE CLASS 12?

can anyone please give me full information about cbse class 10th examination

Your Answer

INTRODUCTION
Class 10th ek student ki life me bahut important hoti hai. Isi ke baad wo apne aage ki padai ke baare me ek sahi decision le sakta hai. 10th Class ko hum Matriculation or short me Matric bhi kehte hai. Matric ki padhai poori karne ke baad student ko ek stream choose karne padti jisme use aage apna career banana ho.

ELIGIBILITY
10th Class me aane ke liye aapko 9th Class ke har subjects me kam se kam 33 % chahiye
CBSE 10th exam me baithne ke liye minimum age 14 saal rakhi gayi hai
CBSE 10th Class ke final exams me baithne ke liye aapko jarurat hogi admit card ki jo aapko school provide karata hai
EXAM PATTERN
CBSE 10th Exam me mainly jo subjects hote hain wo hain – Science, Mathematics, Social Science, English Commutative, English Language and Literature, Aur Hindi.
Iske alawa aap Computer Science ya fir languages me se ek elective subject choose kar sakte hai
CBSE Exam ke naye pattern ke hisab se ab har subjects me 25% marks internal assesment ke honge iska matlab ab se CBSE sirf 80 marks ke paper conduct karega.
Isi ke saath hi ek aur achhi khabar ye hai ki CBSE ne 25% multiple choice questions ko exam paper me shamil kiya hai.  
Saath hi saath CBSE ne is saal 33% internal choice questions add kiye hai, jiska matlab hai students ke paas questions choose karne ke kaafi options honge.

TIPS & TRICKS
Class 10th exams me aapko fixed time me paper complete karna hoga to ek time-table bana le aur uske hisaab se practice karein
Mathematics par khaas dhyan de aur use apna strong point rakhein. Uske liye aapko jyada se jyada questions practice karne honge.
Practice ke liye aap previous years papers ya fir sample papers try kar sakte hain
Iske alawa aap youth4work ka prepguru app bhi use kar sakte hain. Isme aapko har subjects ke mock tests mil jayenge
Sabse jaruri dhyan rakhein apni sehat ka. Khoob paani piye aur practice sessions ke bich me thoda thoda break le.

To watch our youtube video:https://www.youtube.com/watch?v=kkxFN-SL0ko

टिप्पणी
मॉक परीक्षण अभ्यास के लिए
class 10