GIVE ME FULL INFORMATION ABOUT CBSE CLASS 11?

can anyone give me full information about cbse class 11 in detail

  • Sameer
  • 06 अगस्त
  • 2732 दृश्य
  • 1 उत्तर
Your Answer

INTRODUCTION
CBSE har saal class 11th ke exams conduct karata hai. Jisme kai alag alag streams jaise ki Science, Commerce, aur Arts ke students appear hote hain. Har streams me alag alag subjects hote hain sivay English ke. English sab streams me common hota hai.
ELIGIBILITY
Aaiye baat karte hain Class 11th Exams ki Eligibility ke baare me
Class 11th exams me appear hone ke liye sabse pehle students ko Class 10th me minimum 33% score karna padta hai
Class 10th ke score ke basis par students apne liye koi ek stream choose karte hai, jaise ki Commerce, Science aur Arts
EXAM PATTERN
Class 11th exams me 25% marks internal assesment ke hote hai aur 80 marks ka final exam hota hai
Internal assesment ke marks aapko assignment, project, practical files aur attendance ke basis par milte hai
Final exam jo 80 marks ke liye hota hai wo 3 ghante ka paper hota hai
Aapko exam clear karne ke liye har subjects me kam se kam 33% marks chahiye hote hai
TIPS AND TRICKS
Final exams me aapko fixed time me paper complete karna hoga to ek time-table bana le aur uske hisaab se practice karein
Class 11th exams normally tough hote hai isliye Mathematics aur Accounts subjects ho to un par khaas dhyan de 
Practice ke liye aap previous years papers ya fir sample papers try kar sakte hain

To watch our youtube video:https://www.youtube.com/watch?v=TYtF2ix2Y6M

0
class 11
मॉक परीक्षण अभ्यास के लिए
class 11